Quran Shrief Say Mushkilat Ka Hal Sms
Bismilla-Hir-Rahman-Ir-Raheim
Is Ayet ki koi misal nahien--
Koray miti k bartan pay 7 martaba likh kar 21 din tak pilana her merz ki shifa hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Fateha
Fajer ki Sunaton say pehlay 41 mertaba Bismillah k sath perh ker kisi pani per dum ker kay pilana her kism k merz ki Shifa hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Buqara
Fajer ki Namaz k bad parhna Rizq may izafa aur Ghar ko Balaoon say mahfoz rakhta hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soort-e-Inaam
Dushman say jann choraney ke niyat ker k 3 mertaba Is Soorat ka parhna bohat juld faeda karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Yaseen
1:-Bemar per rozana 1 bar parh ker dum karna juld Shifa dayta hay -Ya- Nizaa ki halat ko asani deta hay.
2:-Rizq ki farakhi k liya rozana Fajer kei Namaz k bad parhein.
-------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Yusuf
Kisi b Gum ko door karnay k liya 3 mertaba parhaen.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Raad
1 mertaba rozana parhna Allah say Mohabat ka zarya banata hay.
-------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Bani Israeel
3 mertaba rozana parhna hur Mushkil may Aasani ka sabeb banti hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Kahaf
Jumay ki Namaz k bad parhna DAJAL k Fitnay say mahfoz rakhta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Najem
1:-Aurat k Rahem(Uterus) k merz may is Mubarak Soorat ko zafran say likh ker pilana nehayat mufeed hay.
2:-Jis Aurat k Bachay pait may mer jatay hoon Is Soorat ko Amber ya Mushk say likh ker pilana aur Galaey may Taweez bana ker Dalna nihayat mufeed hay.
3:-Is Soorat ko Tambay ki Tukhti pur likh ker Gher may rakhnay say kabhi Mozi janwer (Snake) na katay ga.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Qamer
1:- 3 bar rozana Isha ki Namaz kay bad parhna her 1 bala say mahfoz rakhta hay.
2:- 7 bar Asayb Zada per dum karna ya pani per parh ker pilana Shifa Dayta Hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Rahman
Achi Qiraat may rozana parhna ya Sun-na Mozi Imraz say Shifa Bakhshta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Waqaea
Rozana Maghrib ki Namaz k bad parhna Faqay say mahfoz rakhta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Hadeed
Kamzor Muqadmay may 7000 bar parhna Muqadma Jitwata hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Mujadila
1 bar rozana raat ko parhna Nifaq ki sift ko ALLAH k Fazal say door kerta hay.
|
|