|
|
Quran Shrief Say Mushkilat Ka Hal Sms
Bismilla-Hir-Rahman-Ir-Raheim
Is Ayet ki koi misal nahien--
Koray miti k bartan pay 7 martaba likh kar 21 din tak pilana her merz ki shifa hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Fateha
Fajer ki Sunaton say pehlay 41 mertaba Bismillah k sath perh ker kisi pani per dum ker kay pilana her kism k merz ki Shifa hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Buqara
Fajer ki Namaz k bad parhna Rizq may izafa aur Ghar ko Balaoon say mahfoz rakhta hay.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soort-e-Inaam
Dushman say jann choraney ke niyat ker k 3 mertaba Is Soorat ka parhna bohat juld faeda karta hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Yaseen
1:-Bemar per rozana 1 bar parh ker dum karna juld Shifa dayta hay -Ya- Nizaa ki halat ko asani deta hay.
2:-Rizq ki farakhi k liya rozana Fajer kei Namaz k bad parhein.
-------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Yusuf
Kisi b Gum ko door karnay k liya 3 mertaba parhaen.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Raad
1 mertaba rozana parhna Allah say Mohabat ka zarya banata hay.
-------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Bani Israeel
3 mertaba rozana parhna hur Mushkil may Aasani ka sabeb banti hay.
--------------------------------------------------------------------------------------------
Soorat-e-Kahaf
Jumay ki Namaz k bad parhna DAJAL k Fitnay say mahfoz rakhta hay.
|
|
|